About Me


Android Me iPhone WhatsApp Download Kaise Kare

Android Whatsapp Ko IPhone Whatsapp Kaise Bnaye, Android Mobile Ke Liye IPhone Style WhatsApp Download Karne Ka Tarika – Aap Sabne Kabhi Na Kabhi Iphone Ki Apps Use Karne Ki Sochi Hogi Lekin Dono Devices Ki Compatibility Alag Alag Hone K Kaaran Aap Na To Koi Android App Ya Mods Ios Mein Use Kar Sakte Hain Aur Na Hi Iphone Ki Koi App Android Mein Use Kar Sakte Hain.
iOs Apps Ko Pasand Karne Ka Sabse Bada Aur Main Reason Hai Unka Design Aur Design Hi Main Reason Hota Hai Iphone Ko Pasand Kiye Jane Ka Varna Camera To Aajkal Har Koi Behtareen Derha Hai Or Agar Aap Gb WhatsApp Iphone Theme Download Karna Chahte Hai To Yeh Theme Abhi Available Nahi Hai
Chaliye Aaj Baat Karte Hain Ios Whatsapp Ki. Iphone Whatsapp Ios Ki Sari Applications Mein Se Sabse Jyada Demanded App Hai Android K Liye Lekin Compatiblity Na Hone K Kaaran Android Mein Nahi Chala Pate Log. Yaha Tarika Follow Karke Aap iPhone WhatsApp Android Phone Me Use Kar Sakte Hai
Android Mobile Me iphone WhatsApp Kaise Download Kare
Aaj Main Aapke Liye Ek Aisa Whatsapp Mod Lekar Aaya Hu Jo Bilkul Iphone K Whatsapp Jaisa Hai. Lekin Ise Install Karte Hi Apko Ios Wali Look Nahi Milti Isko Ios Style Wale Whatsapp Mein Badalna Padta Hai, Ghabraiye Nahi Main Apko Yaha Poori Detail Mein Samjhaunga K Aap Ise Kaise Kar Sakte Hai.
Hamare Android Wale Ios Whatsapp Ki Sabse Khaas Baat Ye Hai Ki Hume Isme Iphone Wale Whatsapp K Sath Sath Sare Mod Wale Options Bhi Milenge.

WhatsApp Mods – Fouad WhatsApp Download Kaise Kare

Sabse Pehle Jaan Lete Hain K Aakhir Ye Konsa Whatsapp Mod Hai Aur Iske Features Kya Kya Hain Kyuki Main Hamesha Kehta Hoon K Kuch Bhi Use Karne Se Pehle Uske Baare Mein Poori Jaankari Le Leni Chahiye.
Dosto Darasal Ye Ios Style Wala Whatsapp Fouad Whatsapp 7.20 Ka Remod Hai Aur Fouad Whatsapp Pehle Hi Yowhatsapp V7.20 Ka Remod Hai. Ab Aap Soch Rahe Honge K Ye To Bada Complicated Sa System Hai Theek Se Btaiye. Are Bhai Ha Main Bta Rha Hoon.
Foaud WhatsApp Download

YoWhatsApp Download Kaise Kare, Janiye Features –

  • Isme Aap Apna Last Seen Freeze Kar Sakte Hain Yani Jaha Apne Last Seen Freeze Kar Diya Apka Last Seen Usi Time Pe Ruk Jayega.
  • Jab Tak Aap Kisi Ko Reply Nahi Karenge Tab Tak Us Bande Ko Blue Ticks Show Nahi Hongi Yani Aap Message Padh K Ignore Bhi Kar Sakte Hain Aur Saamne Wale Insan Ko Pta Bhi Nahi Chalega Aur Jaise Hi Aap Reply Kar Doge To To Usko Blue Tick Bhi Show Hojayegi Matlab Abse Thodi Der Ruk Kar Bhi Reply Karenge To Apki Girlfriend Naraaz Nahi Hogi.
  • Aap Whatsapp Pe Aaye Hue Photot / Video / Gif Jo Bhi Download Kiya Hua Hai Unko Apni Gallery Se Hide Kar Sakte Hain Matlab Abse Apka Phone Koi Bhi Dekhe To Koi Problem Nahi Hogi.
  • Kisi Bhi Chat Ko Pin Password / Pattern / Fingerprint Lgakar Lock Kar Sakte Hain.
  • Jis Insan Se Aap Baat Kar Rahe Hain Ya Jis Group Mein Aap Baat Kar Rahe Hain Uska Naam Hide Kar Sakte Hain To Ab Tension Lene Ki Zarurt Nahi Bindass Baat Kijiye Kisi Se Bhi Aur Koi Bhi Dekh Raha Hoga To Use Pata Nahi Chalega K Kisse Baat Kar Rahe Ho Tum.
  • Anti – Delete Feature Hai Jisse Apki Chat Se Koi Bhi Message Recall / Revoke Nahi Kar Payega.
  • Aap Photo / Video Full Original Quality Mein Bhej Sakte Ho.
  • Aap Bina Kisi Ka Number Save Kiye Direct Usko Message Kar Sakte Hain.
  • Koi Alag Bhasha Ka Message Aajaye To Use Apni Language Mein Translate Kar Sakte Hai.
  • Friends K Whatsapp Status Mein Dali Hui Photo / Video Ko Save Kar Sakte Hain Aur Text Status Ko Copy Kar Sakte Hain.
  • Sabka Last Seen Main / Home Screen Mein Dekh Sakte Hain Matlab Kisi Ka Last Seen Dekhne K Liye Uski Chat Ko Kholne Ki Zarurt Nahi Hai Aur Online Toast K Feature Ki Vajah Se Aapko Friends K Online Aane K Notifications Bhi Milte Rahenge.
  • Aap 700Mb Tak Ki Video Send Kar Sakte Hain Jabki Official Whatsapp Mein Sirf 30Mb Tak Ki Video Send Hoti Hai.
  • Ek Baar Mein 100 Photos Bhej Sakte Hain Jabki Official Whatsapp Mein Sirf 10 Hi Bhej Sakte Hai.
  • Aap Profile Status 250 Words Ka Likh Sakte Hain Jabki Official Whatsapp Mein Sirf 139 Characters Ki Limit Hoti Hai.
  • Agar Apke Friend K Status Mein Koi Link Hai To Aap Us Par Bhi Click Kar Sakte Hain Jabki Official Whatsapp Yani Playstore Wale Whatsapp Mein Aap Aisa Nahi Kar Sakte.
  • Ek Se Zyada Message Copy Karke Paste Karne Se Date And Name Show Nahi Karega
  • Aap App Ki Icon, Ticks Styles Vagerah Sab Customize Kar Sakte Hain.
Ab Aap Log Soch Rahe Honge K Jab Yowhatsapp Mein Hi Sare Features Hain Theme Server Bhi Customization Options Bhi Aur Itne Ghazab Mods Bhi To Fouad Whatsapp Ko Remod Kyu Kiya Ios Mein? Seedhe Yowa Ko Kyu Ni Kiya?
Actually, Yowhatsapp Privacy Aur Features K Maamle Mein To Boht Aage Hai Lekin Isme Customization Options Matlab Thode Coloring Vagerah K Abhi Bhi Kuch Hadd Tak Kam Hain. Isliye Fouad Whatsapp Jo Hai Usme Coloring K Extra Boht Sare Options Hain Yo Whatsapp Se Isliye Log Isko Remod Karna Zyada Pasand Karte Hain Aur Whatsapp Mod Ka Design Poora Ios Karne K Liye Thodi Zyada Customization Ki Zarurt Thi To Gabriel Ne Ios Design K Liye Fouad Wa V7.20 Ko Select Kiya.
Ab Baat Karte Hain K Ios Whatsapp Aur Iske Design Ki Aur Ye Bhi K Isko Kaise Install Karein?
iOs Style Whatsapp K Baare Mein Sabse Zyada Pucha Jane Wala Sawaal Ye Hai Ki Kya Liye Phone Root Hona Zaroori H?
To Iska Jawab Hai – Nahi Iske Liye Phone Root Karne Ki Koi Zarurt Nahi Hai.

Android Phone Me IPhone WhatsApp Install Kare, Janiye Features

Aaiye Ab Apko Btate Hain Hamare Iphone Whatsapp On Android K Features K Baare Me :-
  • Gallery Documents Call Vagerah Sare Icons Change Karke Ios Mein Badal Diye Hai.
  • Chat Screen Ka Background Bhi Change Karkr Ios Ka Kardiya Hai Aur Chat Bubbles And Ticks Bhi Ios Ki Kar Di Hai.
  • Home Screen Ka Design Aur Fab Button Bhi Ios Mein Badal Diya Gya Hai.
  • Color Green Hi Rakha Gaya Hai Taki Aap Agar Chahe To Dusre Themes Bhi Lga Sakte Hai
  • Emoji Changer Hai Yani Agar Apko Whatsapp Wale Emojis Pasand Nahi Hain To Aapke Pass 4 Aur Options Hain Lekin Samne Wale K Pass Whatsapp Wala Emoji Hi Pohchega.
Ab Aap Kahenge K Ye Kya Baat Hui? Bina White Color K Ios Kaise? Aur Screenshot Mein To Poora Ios Lag Rha Hai Vo Bhi Full White Colour Mein Are Bhai Jab Bola Hai To Poora Bhi Karunga Na. Yaar Ek To Tum Panic Boht Jaldi Hojate Ho. Ache Se Samjhata Hu

Android Mobile Me iPhone WhatsApp Kaise Download Kare – Full Installation

Installation Process Aur White Hi Hoga Aur Poora Iphone Wala Whatsapp Hoga Aur Shart Lga Kar Bol Sakta Hu K Isse Acha Whatsapp Tumne Kabhi Install Nahi Kiya Hoga Aur Tumhe Itna Pasand Aayega K Tum Hamesha Iska Update Maangoge Mujhse.
To Chaliye Installation Process Shuru Karte Hain :-
1 Sabse Pehle Neeche Link Mein Diye Gye Fouad Whatsapp V7.20 Remod iOs Style By Gabriel Ko Install Karo.
2 Agar App Not Installed Dikhata Hai To Apne Playstore Wale Whatsapp Ya Fir Com.WhatsappPackage Wale Whatsapp Ko Uninstall Karke Fir Install Karo.
3 Ab Apke Samne Ek Green Color Ka Whatsapp Khulega. Ab Hum Isko Complete iOs Ya Iphone Whatsapp Mein Change Karenge White Ios Theme For Fouad Whatsapp Ko Lagakar.
Neeche Diye Gye Link Se IOs Style WhatsApp Theme For Fouad Whatsapp By Gabriel Download Karo.
4 Wo Theme Ek Zip File Hogi Use Extract / Decompress Kar Lijiye. Agar Apka Phone Support Nahi Karta Hai To Playstore Se Winzip App Download Kar Lijiye Aur Usse Zip File Ko Extract Kijiye.
5 Iske Extract Hue Folder Se Ab Xml File Nikal Kar Kisi Bhi Folder Mein Paste Kardijiye.
6 Ab Apna Whatsapp Open Kijiye Aur Usme Jake Theme Change Karna Hai Apko Uske Liye Jaiye
Fouad Mods > Yothemes > Load Theme Aur Fir Us Folder Ko Select Kijiye Jisme Apka Theme Hai > Fir Theme Ki Xml File Pe Click Kijiye. Theme Automatically Apply Hojayega…
7 Congratulations Ab Apka Whatsapp Poora iOs Whatsapp Ban Chuka Hai. Lekin Abhi Apko Dikh Rha Hoga K Home Screen Par Jo Chats Hain Unka Size Boht Zyada Hai.
8 Oho Firse Ghabrane Lage? Bs Chhota Sa Kaam Karna Hai Ek Aur, Bs Aise Kariye Jo Main Keh Rha Hu
Fouad Mods > Home Screen > Styles > Isme Apko Row Resizer Ka Option Dikhega Isko 140-145 Dpi Pe Ser Kr Dijiye Aur Apka Iphone Wala Whatsapp Use Karne K Liye Poori Tarah Se Tyar Hai.

How to Use iPhone WhatsApp in Any Android Phone Jisse Aap Iphone Style WhatsApp Andrpid Me Use Kar Sakte Hai Is Whatsapp Ko Dekhne Aur Use Karne K Baad Aap Khud Bhi Asli Aur Nakli Mein Fark Nahi Kar Payenge Aur Agar 19-21 Ka Fark Hua Bhi To Yaad Rakhna Is Duniya Mein Kuch Bhi Perfect Nahi Hota.
Aap Sabka Itna Support Aur Pyar Karne K Liye Boht Boht Dhanyawaad Aur Comments Mein Apne Views Zaroor Share Karna Ki Apko Hamara Ye Iphone Wala Whatsapp Kaisa Laga?

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ